Ads Header

Pages

Chaar Kadam - Shaan, Shreya Ghoshal

Bin puchhe mera naam aur pataa
Rasmon ko rakh ke pare
Chaar kadam bas chaar kadam
Chal do naa saath mere 

Bin kuch kahe, bin kuch sune
Haathon mein haath liye
Chaar kadam bas char kadam
Chal do na saath mere

Hey.. bin kuch kahe, bin kuch sune
Haathon mein haath liye
Chaar kadam bas chaar kadam
Chal do na saath mere

Raahon mein tumko jo dhoop sataye
Chaaon bicha denge hum
Andhere daraye to jaa kar falak pe
Chand sajaa denge hum
Chhaye udaasi latife suna kar
Tujhko hansa denge hum

Hanste hansaate yunhi gungunaate
Chal denge chaar kadam
Yea yeah.. na na nana...
La ra la.. ra.

Tumsa mile jo koi rehguzar
Duniya se kaun darey
Chaar kadam kya saari umar
Chal dungi saath tere

Bin kuch kahe, bin kuch sune
Haathon mein haath liye
Char kadam bas char kadam
Chal do na saath mere
Read more

Indiawaale - Vishal, KK, Shankar Mahadevan, Neeti Mohan

Ho maane ya koi maane na
Yahaan apni bhi thodi adaa thoda andaaz hai
Aise hain chaahe waise hain
Arey jo bhi hain jaise hain
Khud pe humein naaz hai

Jaane na humko ye zamaana
Chaaho to humko aazmaana
Hum yaar-baaz hum jaal-saaz
Hum ishq-baaz dilwaale
Kehte hain humko pyar se India waale
Chhu lete dil ke taar se India waale
Har jeet cheen le haar se Indiawaale
Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawale
Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawale

Yun toh seedhe bade..
Kabhi chahein to hathon se lete laqeerein chura
O.. humko parwaah nahi
Jo bhi kehta hai, kehne de jag ye bhala ya bura
Jaisi bhi marzi ho humaari
Karte hain aisi hoshiyaari
Par dil se yaar jo le pukaar
To jaan nisaar kar daale
Kehte hain humko pyar se India wale
Chhu lete dil ke taar se India wale
Har jeet cheen le haar se Indiawaale
Dushman ke chakke chhuda de hum Indiaawale
Ungli pe sabko nachaa dein hum Indiawaale

Aankhon ki aankhon ki chaabi se
Thoda betaabi se chupke se khole dilon ke taale
Jaan dete, usko jahaan dete
Apna imaan dete jiski bhi baahe gale me daale

Duniya se humko kya le jaana
Yaaron ke dil mein ho thikana
Humein ek baar hota hai pyaar
Ye laakh baar kehla le
Kehte hain humko pyar se India wale
Chhu lete dil ke taar se India wale
Har jeet cheen le haar se Indiawaale
Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawale..
Dushman ke chakke chhuda de, chhuda de...
Ungli pe sabko nachaa dein...
Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawale..
Read more

Tu hi tu har jagah - KICK

Tu hi tu har jagah, aaj kal kyun hai
Tu hi tu har jagah, aaj kal kyun hai
Raaste har dafaa, sirf tera pataa
Mujhse pooche bhala kyun hai
Naa main apna raha, naa kisi aur ka
Aisa mere Khuda kyun hai
O.. o.. o.. (repeat x2)

Dheeemi dheemi aanch pe jaise
Dheere dheere jalta hai dil ye,
Beqarari kyun hai ye khumari
Kyun hai awaargi kyun hai har mod par
Naa main apna raha
Naa kisi aur ka
Aisa mere Khuda kyun hai
O.. o.. o..

Tu hi tu har jagah, aaj kal kyun hai
Tu hi tu har jagah, aaj kal kyun hai
Raaste har dafaa, sirf tera pataa
Mujhse pooche bhala kyun hai..

Huaa nahi pehle kabhi yeh
Chuaa nahi dil ko kisi ne
Har aarzoo tu hi
Chain-o-sukoon tu hi
Main toh kahoon
Tu hi hai zindagi
Naa main apna raha
Naa kisi aur ka
Aisa mere Khuda kyun hai
O.. o.. o..

Tu hi tu har jagah, aaj kal kyun hai
Tu hi tu har jagah, aaj kal kyun hai
Raaste har dafaa, sirf tera pataa
Mujhse pooche bhala kyun hai
Naa main apna raha, naa kisi aur ka
Aisa mere Khuda kyun hai
O.. o.. o..





Singer: Mohd. Irfan | Salman Khan 
Music: Himesh Reshammiya
Lyrics: Mayur Puri
Featuring: Salman Khan, Jacqueline Fernandez
Music Label: T-Series
Read more